
khyabo se n jagayo mujhko,
Haqiqat se n milwayo mujhko...
Rahne do mujhe chand ki aagosh me,
suraj ki tez dhup se n jhulsayo mujhko...
Nani jo bas ab khyabo me hi milti hai,
Rosniya jo raton ko chalti hai...
Rahne do mujhe nind k saye me,
unse dur n le jayo mujhko...
Ghar se dur hue to kya,
Har raat ghar ka shor sunti hu...
Yahan phool nhi to kya,
khyabo me unki khusboo chunti hu...
Wo aasma me ghumna ,
Wo Titliyon ko Chumna...
Wo paharo pe jakar ,
Mast hokar jhumna...
Or inke alawa tumhara sath,,
kya haqiqat me ho payenge aese halat??
nhi.... kabhi nhi...
to bas khyabo me rahne do mujhko...
Hi! thanks for the nice comment on my blog. Even you write well. Keep it up and keep in touch. :)
ReplyDelete